Sunday 28 August 2011

khud kamao, dahej pe na jao.......

Dahej ka matlab hai, jab dhulan shaadi ke baad apni family se apne pati ke ghar ati hai to wo paisa, saaman lati hai.

Dahej lene ka riwaaj sabse pehle Europe, South Africa, South asia mein tha par pata nhi ye hamaare desh mein aaya. Lekin ab India mein ye pratha sabse zyada hai. Ye riwaaz pehle Upper class logon mein hota tha jab koi pita apni beti ko kuch gifts deta tha apne mann se lekin aaj kal to ye har pita ke liye majburi ban gayi hai.



Lekin aaj kal dahej pratha ek vinashkari roop dharan kar chuki hai. Ladkiyon ko pareshan karte hain maarte hain yahan tak kabhi kabhi unhe zinda jala dete hain ya zeher bhi de dete hain.



Ladkiyon ko ye sab jhelna padta hai agar wo ladke walon ki demand fulfill nhi kar pate hain. Hum bahut saari samajik buraiyan padhte hain lekin unko sudharne ke liye hum kya kadam uthate hain???????????

No comments:

Post a Comment