Sunday 14 August 2011

Maa..........

Maa, woh hoti hai jo khud jaagti h aur hamein sulati hai, apne aap bhukhi reh kar hamara pet bharti hai.

Har kadam par hamare saath rehti hai. Maa hamesha apne bachchon ki takleef samjhti hai chahe bachche bataye ya na bataye wo samajh jati hai ki uske bachche pareshan hain. Ek maa hi hai jo ek bachche ko apne andar 9 mahine rakhti hai saari takleefein sehti hai apne bachche ki har zarurat pura karti hai. Jitna pyar ek maa apne bachche se karti hai utna koi kisi se nhi karta hai. Tab bhi bachche uski bhawnaon ki kadar nhi karti hai aur na hi uska kadar karte hain. Use kuch nhi samjhte hain phir bhi agar unke bachchon takleef hoti hai wo unka saath deti hai.

Agar ladke ki shaadi ho jati hai to wo apni maa ko bhul jata hai sirf apni biwi ki baat sunta hai wo bhul jaata hai ki ye wohi maa hai jisne hamesha uska dhyan rakha hai jab usko zarurat rahi uske paas rahi hai...............

No comments:

Post a Comment