Friday 1 July 2011

Dahej Pratha ek abhishaap…..

Aaj Bharat itni tarakki kar raha h, ladkiyan padh rahi hain, kaam karti hain ladkon ke sath kadam se kadam mila kar chalti hain phir b kahin na kahin ladkiyan kuch samajik buraiyon ke wajah se peeche reh jati hain. Jaise Dahej pratha, Bal Vivah, Sati pratha, ladkiyon ko paida hote hi ya paida hone se pehle hi agar pata chalta h ki wo ladki to use maar diya jaata h.

Aaj b bharat mein kai aisi jagah h jahan ye sab aaj b hota h. Agar ghar mein ladki paida hoti h to uske saath aisa vyavahar karte hain jaise ki usne janam le kar gunah kiya ho. Ladki ke mata pita uske paida hote hi ek ek paisa uske dahej ke liye jodna shuru kar dete hain.

Pehle zamane mein jab ladkiyan zyada padi likhi nhi hoti thi to ye keh kar dahej liya jata tha ki hamne apne bete ko padhane mein jo kharach kiya h uske badle mein hamein dahej de do. Lekin ab jab ladkiyan padhai b kar chuki hain tab ye kaha jata hai ki aap apni beti ko khali haath vida karenge usko kuch denge nhi. Jab ye baatein ladke ke maa baap se puchi jati hai to wo kehte hain ki hamein kuch nhi chahiye apne damad aur beti ko do. Lekin kya ye sach h? Dahej mein ladke waalon ko t.v., refrigerator, a.c., car sab chahiye hota h. Aaj kal ke jamane mein dahej ladke ki naukri dekh kar liya jata h.

Agar kisi wajah se ladki ke mata pita dahej dene mein asamarth ho jate hain to unhe iske liye b saza di jati h. Jaise ladki ka jala diya jata h, aatma hatya karne par majbur kar diya jata h, usko ghar se nikal kar talak de dete hain aur ladke ki dusri shaadi kar dete hain. Har taraf se ladki ke mata pita aur ladki hi saza di jati hai. Kai baar ladki ko maansik rup se b pratadit kiya jata h

Dahej pratha ko rokne ke liye aaj kal ke ladke ladkiyon ko shaadi hi nhi karni chahiye agar dahej maanga jaye.

No comments:

Post a Comment