Friday 8 July 2011

A Girl Face Many Up & Down in Her Social Life.....

Aaj ek ladki ki zindagi ke bare mein baat karte hain. Ek ladki jo kai tarah ke rishte nibhati hai jaise jb wo janam leti hai to wo kisi ki beti hoti hai, behen hoti hai, shaadi ke baad uski life badal jati hai to wo kisi ki biwi hoti hai, aur phir maa…………..

Ek ladki ki jindagi bas beti se le kar maa banne tak rehti hai, pehle wo apne maa baap ki sunti hai, phir pati ki aur baad mein bachon ki wo apni zindagi kbhi nhi jee pati hai. Lekin ye zindagi b jeene ke liye use bahut sangharsh karna padta hai. Kitni hi ladkiyan hain jo janam lene se pehle isliye maar di jati isliye kyunki woe k ladki hai jab ki wo ye nhi sochte ki ladke to biwi aate hi paraye ho jate hain lekin ek ladki hi hoti hai jo hamesha maa baap ka saath deti hai.

Kitne jagah aisi hain jahan aaj bhi ladkiyon ko janam lene se pehle ya janam lene ke baad maar diya jata hai sirf isliye kyunki wo ek ladki hai hamara samaj aaj bhi ladki ko bojh hi samjha hai. Aur agar ladki janam bhi le leti hai to uski shaadi kar di jati hai choti umar mein ya phir usko bech diya jata hai.

Shaadi ke baad use khushi nhi milti kyunki jo haq use milna chahiye won hi milta hai use sirf wohi karna padta hai jo uska pati chahta hai agar aisa nhi karegi to use maara jata hai. Yahan tak ki uski shaadi ke waqt agar ladke waalon ko dahej nhi diya jata hai to ladki ko maara jata hai, use aatma hatya karne par majbur kar diya jata hai yahan tak ki use jala bhi diya jata hai. Agar koi ladki jeena chahe to use galat samjha jata hai.

Kehne ko aaj ladkiyan bahut aage hain ladkon ke saath chalti hain lekin phir bhi wo kahin na kahin bahut peeche hain kyunki aaj bhi agar ghar mein kisi ka janam hone wala hota hai to yehi duayein hoti hain ki ladke ka hi janam ho aur agar aisa hota hai to bahut khushiyan manayi jati hain………….

Kehne ko to ladkon ko aisi biwi chahiye jo professional ho lekin wo ye bhi chahte hain ki shadi ke baad wo koi kaam na kare. Kya ek ladki ko jeene ka koi adhikar nhi hai?

Abhi bhi bahut kuch hai jo is mein likhna hai aur jaldi hi ise aage pura kiya jayega kyunki ye ek aisa Vishay hai jiske bare mein jitna likho kam hai……………..

No comments:

Post a Comment